Naummidi me ummid ki kiran talash karen

Halat chahe jaise bhi hon....
Itna yad rahe, her pareshani ke bad asani hai. Insan ko sabr ka daman thame rahna chahiye. Her naummidi me ummid ki kiran talash karen.
Allah insan per uski sakat se zyada bojh nahi dalta. Zaroorat hai hume apni salahiyat ko pehchanne ki. Aksar log us waqt toot jate hain jab Allah ki madad unse chand qadam ke fasle per hoti hai. Yaqeenan ye sab itna asan nahi hai lekin apne Rab per bharosa rakhte hue hum azmaish ke aise auqat ko guzar sakte hain.
Rab hume musibat me dal kar azmata hai aur hume nikhar kar pahle se zyada buland martaba ata karta hai.

Hue madfune -e-dariya zer-e-dariya tairne wale 
Tamanche mauj ke  khate the jo ban kar guhar nikle  
(Allama Iqbal )

Comments

Popular posts from this blog

एक गलतफहमी

#नेकी_कैसे_करें ?

#ख़ुद_को_टटोलने_की_कोशिश